Har saans mein ehsaash kyun hai?
Har ehshaash mein ek pyas kyun hai?Har pyas mein milawat kyun hai?
Har dard mein ek chahat kyun hai?
Har chahat mein ek dikhawat kyun hai?
Har dikhawat mein ek banawat kyun hai?Har lamha itna bikhra kyun hai?
Har aaj itna mohtaaj kyun hai?
Har chehra itna suna kyun hai?
Har roj mujhe jina hi kyun hai?Sochta hoon sochna hi kyun hai?
Na sochna hi achha kyun hai?Har khwahis itni jiddi kyun hai?
Har aadmi itna piddi kyun hai?
Har raat itni chhoti kyun hai?
Har din itna bhaari kyun hai?Sochta hoon ek aadhar dhoondh loon
Jine ka sansaar dhoodh loon
Par us sansaar ki jaroorat kyun haiSochta hoon sab mithya hai yahan pe
Per in sab mein itni haqeeqat kyun hai.--RBK
Sunday, July 19, 2009
“Kyun hai” – My first poem
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment