Tuesday, January 24, 2012

Widgets

Tanhai...

Har bita lamha apni ek tasveer liye aata hai,
Mujhe meri tanhai mein dara jata hai.
Mujhe khud se nahin apni tanhai se ummid hoti hai,
Aur ek ajeeb si bechaini uski taqdeer hoti hai.
Tanhai mujhse sach kahne ko kahti hai,
Kabhi kabhi to jid karne lagti hai,
Main use jhoothla nahin pata hoon,
Chah kar bhi kabhi jeet nahin pata hoon.

Main khud se baat karna chahta hoon,
Kuch paheliyon ka hal dhoondhna chahta hoon.
Par tanhai ko mujh pe bharosa nahin hai,
aur ab to mujhko bhi yakeen yahi hai.
Band aankhon mein roshni jab chamkti hai,
Sannate mein kisi ki aahat jab khatkti hai.
Tab har baar meri tanhai mujhse pahle jagti hai,
Aur mujhe jagakar badi bedard si hansti hai.

Wo mera kuch nahin kar payegi ye janta hoon,
Per phir bhi achanak se apne ko dara hua pata hoon.
Aur khusi hoti hai ki kabhi to main sach se darta hoon,
Aur in sab ke baad bhi usse baat karne ko tadpta hoon.

Ek khwahish hai kabhi to wo mujhe raasta bataye
Uske jaisa kyun nahin hoon, ye samjhaye.
Lekin poochne ke pahle hi phir se dar jata hoon,
Aur phir se apne aap ko wahin tanha pata hoon.


-- RBK

No comments:

Post a Comment